Wednesday, September 14, 2011

Tasveer

Ruki hui tasveer hai kuch, kuch chal raha hai raasta,
poochta hoon in azaad panchiyon sey musafiron ka waasta.

Kohrey key aagosh mein ik imarat ka nishan toh hai,
Hain imaaratein insanoon mein bhi khud sey phir anjaan kyun hai?

Nadi mein nahin hai sailab ismein paani ki to khata nahin,
Bad rahey hain sab magar, bas manzil ka hi pata nahin.

Dhundhla sa hi sahi, door kahin darakht nazar to aata hoga,
Lakeeron ka , tadbeeron ka yeh kaafila, kambakht kahin to jaata hoga!

1 comment:

RJ Payal said...

Shaandaar sirjii...:)